Chod De Sari Duniya Lyrics

Posted by & filed under .

Film: Saraswatichandra (1968)

Kaha chala aye mere jogi
Jeevan se tu bhaag ke
Kisi ek dil ke kaaran
Yun sari duniya tyag ke

Chod de sari duniya kisi ke liye
Yeh munasib nahin admi ke liye
Pyar se bhi zaroori kai kaam hain
Pyar sab kuch nahin zindagi ke liye
Chod de sari duniya kisi ke liye

Tann se tan ka milan ho na paaya to kya
Mann se mann ka milan koi kam to nahin
Mann se mann ka milan koi kam to nahin
Khushboo aati rahe door hi se sahi
Saamne ho chaman koi kam to nahin
Saamne ho chaman koi kam to nahin

Chaand milta nahin sabki sansaar mein
Hai diya hi bhoot roshni ke liye
Chod de sari duniya kisi ke liye

Kitni hasrat se takti hain kaliyan tumhe
Kyun baharon ko phir se bulate nahin
Kyun baharon ko phir se bulate nahin
Ek hi duniya ujad hi gayi hain to kya
Doosra tum jahan kyun basate nahin

Dil ne chahe bhi to saath sansaar ke
Chalna padta hain sabki khushi ke liye
Chod de sari duniya kisi ke liye